New ad

Sunday, 8 December 2013

Aangan Shayari

Aangan Shayari

Yar tha gulzar tha bad-e-saba thi m na tha layaq-e-pa-bos-e-jan kya hina thi m na tha

hath kyon bandhe mere challa agar chori hua ye sarapa shokhi-e-rang-e-hina thi main na tha

main ne pucha kya hua wo aap ka husn-o-shabab hans ke bola wo sanam shan-e-khuda thi main na tha

main sisakata reh gaya aur mar gaye farahad-o-qais kya unhin donon ke hisse mein qaza thi main na tha

No comments:

Post a Comment